C-DAC "THE SUPER COMPUTING PEOPLE"

Centre for Development of Advanced Computing ( C-DAC ) ,established in March 1988, is primarily an R&D institution involved in the design, development and deployment of electronics and advanced Information Technology products and solutions. Constituting the largest R&D Lab in the Department of Information Technology ( DIT ), Ministry of Communications and Information Technology ( MCIT ), Government of India. It was originally setup to bring out High Performance Computing and Communications (HPCC) solutions to the scientific community through the parallel processing route.

Apart from HPC, C-DAC is into core R&D areas like Grid Computing, Real Time Systems and Embedded Electronics, Broadband and Wireless Networking, Multimedia Computing, Advanced Computing Training School (ACTS) and Software Technologies.

Kuch Baat Bhagwan Se

I Asked GOD

Nahi door hai mandir ghar se mere, tha main hi ghar se nikalta nahi
Ab toe har roz aata hoon dar pe tere, kisi moorat mein kyon tu milta nahi

GOD Reply

Main ped mein hoon, main patto mein hoon, us phool mein bhi jo khilta nahi
Main khushi mein hoon, main jashn mein hoon, us zakhm mein bhi jo silta nahi
Ek aas hoon main, ek vishwaas hoon main, main ummeed ka sooraj, main dhalta nahi
Kisiko mil jaata hoon ek boond mein main, kisiko sagar mein bhi milta nahi
Maine ghar banaya apna fursat mein, woh har dil jo sachcha lagta hai
Main kyon miloo kisi moorat mein, mujhe bhi ghar mein achha lagta hai 



Then I Asked GOD
woh bhool gaye humein, hum yaad nahi aate
shayad beetegi umr, bas ab aansoo bahaate
kaisi bezaar ye zindagi, koi armaan nahi baaki
chand lamhaat khushi, gam-o-nishaan nahi jaate

GOD Reply

ye khushiyaan aur gum kabhie saath nahi aate
tujhe khushiyaan pasand, gum raas nahi aate
bohat dekhe hain lab, dard mein muskuraate
aur kuchh dekhe hain tujh se aansoo bahaate

woh aur honge dost jo dil ko dukhaate
woh hoth pe hasi, gam aankh mein chhupaate
tujh se zyada, kahiin zyada, woh khud ko tadpaate
jab kehte woh jhooth, 'tum yaad nahi aate


Then I Asked GOD
yun rusva karna toe aa gaya, ab dosti nibhaane ka saleeka bhi sikha do
unhe khafa karna toe aa gaya, ab manaane ka tareeka bhi bata do

GOD’s Reply

the least that can be done for winning a friend…

uske hotho par muskaan rehni chaahiye, chaahe teri muskaan chali jaaye
tere hotho par muskaan rehni chaahiye, chaahe dost ke liye jaan chali jaaye

the least that can be done for not losing a friend…

ab woh jo bhi faisla kare, use insaaf samajh le
woh sazaa bhi de agar, tu saugaat samajh le 



Then I Asked GOD
 
Bohat khush hoon main aaj, ab rota bhi nahi
Aaj saalgiraah jo dost ki, aaj mauka bhi nahi
Par khaali in jebo mein, kuchh hota hi nahi
Bas duaayein hi duaayein, ek tohfa bhi nahi

GOD Reply

Main duaao ka mandir, bhagwaan hoon main
In rasmo aur riwaazo se anjaan hoon main
Kya soch ke tu maang raha, hairaan hoon main
Jaise khuda nahi, tohfo ki dukaan hoon main

Then I Reply GOD

Tu yaar jo mera, mujhe bhi dhyaan hai tera
Tu saath jo mere, saath imaan hai mera
Hoth rehte khaamosh, dil zubaan hai mera
Woh khush rahe dost, bas armaan hai mera

Bas chhota sa mera ek kaam tu kar
Jaa ab dost ko mera salaam tu kar
Aaj khushiyaan sab uske naam tu kar
Phir thaam le tu waqt, aaraam tu kar
 


Then I Asked GOD

na aankhon mein aansoo, na mera khayaal hai
kyon bhool gaye woh, bada seedha sawaal hai
masroof hain sab, kise kiska khayaal hai
gam saath par mere, gam saathi kamaal hai

GOD Reply

tujhe pareshaa kare, kahaan gam ki majaal hai
woh bhoola nahi tujhe, tera dost bemisaal hai
tune dekha bas aankh mein aur poochha sawaal hai
kaash dekha hota haath mein jo geela rumaal hai 


Then I Asked GOD

Phir poochh rahaa main sawaal tujhse, dil aadat se majboor hai
Kuchh fark hai kya usme mujhme, woh kyon mujhse door hai
Main zinda uske bina bhi hoon, meri sazaa hai ye ya kusoor hai
Kyon aati nahi ab maut mujhe, tujhe ye bhi na-manzoor hai

GOD Reply

Teri kismat ek saahil mein, par tu fitrat se majboor hai
Woh jahaaz seedha saada sa, tu kashti phir bhi guroor hai
Woh doob rahe kinaaro par, tera saahil zaraa door hai
Tu zaraa bhi nahi uske jaisa, kuchh fark toe zaroor hai…


Teri kismat ek aankh mein, par tu fitrat se majboor hai
Woh haqeeqat seedhi sachchi si, tu khwaab tujhe guroor hai
Ab toot raha tu aankhon mein, tu jhootha tera kusoor hai
Tu zaraa bhi nahi uske jaisa, kuchh fark toe zaroor hai…


Teri kismat ek ufaan mein, par tu fitrat se majboor hai
Woh toofaan seedha saada sa, tu leher phir bhi guroor hai
Kyon lagaav apni hasti se itna, jab mitna ek din zaroor hai
Tu zaraa bhi nahi uske jaisa, kuchh fark toe zaroor hai… 


Then I Asked GOD

yunhi nikla tha ghar se, dekhne naya aashiyana koi
ye baadal aaj hi kyon barse, kyon bheega main bataana koi

GOD’s Reply

jo roye bheegne ke darr se, ab kya bane uska sahaara koi
gar karta tu mohabbat dil se toe samajhta ishaara koi
ye baadal yunhi nahi barse, aaj phir roya hai deewana koi
tu hai jab dil mein uske, kyon dhoondta hai thikaana koi 


Suddenly GOD Asked ME
 
Tu khush nahi, kya gam hai jo tujhe sataa raha hai
Teri hotho ki hasi kuchh kehti nahi, magar aansoo kuchh bata raha hai

To GOD

Uske hotho par hamesha muskaan dekhi hai,
apne liye do aansoo bhi aankhon mein dekhe nahi kabhie
Hotho par toe mere bhi muskaan rehti hai,
par yun aankhon mein aansoo maine roke nahi kabhie

GOD’s Reply

Gam sab ko hota hai, kuchh zubaa se nahi bataate
Bas rote hain tanhaayee mein, yun aansoo nahi dikhaate
Tu kahaan un jaisa, jo har pal muskuraate
Woh ro chuke hain itna, ki ab aansoo nahi aate 

Then I Asked GOD

Kya dard ke liye main hi milta hoon har baar hazaaro mein
Kabhie toe kuchh aur bhi likh do kismat ke sitaaro mein

GOD’s Reply

Woh dard ka matlab kya jaane, jo ilzaam lagaaye sitaaro par
Jaa un kashtiyo se pooch kabhie, jo doob gayi kinaaro par

Kuchh chunte hain patjhad ki sazaa, phoolo ke uphaaro par
Aur dete hain phir dil se dua, auro ko bahaaro par

Kuchh marne ko taiyaar yahaan, sirf aankhon ke ishaaro par
Kuchh jee rahe hain taaki koi, roye na unki mazaaro par

Kuchh kehte nahi zubaa se kabhie, chaahe dil mein ho zakhm hazaaro par
Nahi gaate woh mehfilo mein kabhie, na yun rote hain darbaaro par

Woh dard ka matlab kya jaane, jo ilzaam lagaaye sitaaro par
Jaa un kashtiyo se pooch kabhie, jo doob gayi kinaaro par…


Then I Asked GOD
 
e-khuda meri kismat mein yeh tanhaayee kyon hai

GOD’s reply

tanha toe main hoon, tere saath teri parchhaayee toe hai

Then I Asked God

tab kya hoga jab yeh parchhaayee bhi na hogi
koi saathi milega mujhe ya sirf tanhaayee hi hogi

GOD’s reply

tab mehfilein hongi, koi tanhaayee nahi hogi
tu aur main saath honge, bas teri parchhaayee nahi hogi
 


Then I Asked GOD

Kitne gehre ye zakhm, nishaan baaqi hai
Phir thehre hain kadam, thakaan baaqi hai
Na sawaal ye mushkil, na aasaan kaafi hai
Kyon todte sab dil, jab jahaan baaqi hai

GOD Reply


Kisi se rooth gaye alfaaz, sirf zubaan baaqi hai
Koi hai be-zubaa, par imaan baaqi hai
Kisi ka chhoot gaya jahaan, na nishaan baaqi hai
Tera toe toota hai sirf dil, abhi jaan baaqi hai…


Kisi ka toot gaya jo ghar, sirf makaan baaqi hai
Kisi ko aata nahi nazar, par armaan baaqi hai
Kisi ko duniya bhar ke gam, par muskaan baaqi hai
Tera toe sookha hua hai zakhm, sirf nishaan baaqi hai…


Koi aashiyaane mein tanha, na mehmaan baaqi hai
Koi maykhaane mein tanha, sab anjaan saaqi hain
Kisi se rooth gayi mohabbat, na pehchaan baaqi hai
Par tera rootha kahaan dost, dua-salaam kaafi hai…