C-DAC "THE SUPER COMPUTING PEOPLE"

Centre for Development of Advanced Computing ( C-DAC ) ,established in March 1988, is primarily an R&D institution involved in the design, development and deployment of electronics and advanced Information Technology products and solutions. Constituting the largest R&D Lab in the Department of Information Technology ( DIT ), Ministry of Communications and Information Technology ( MCIT ), Government of India. It was originally setup to bring out High Performance Computing and Communications (HPCC) solutions to the scientific community through the parallel processing route.

Apart from HPC, C-DAC is into core R&D areas like Grid Computing, Real Time Systems and Embedded Electronics, Broadband and Wireless Networking, Multimedia Computing, Advanced Computing Training School (ACTS) and Software Technologies.

Mother Love

doston maa shad kehne ko to itna chota sa haibut isme saara ka saara sansar basa hua hai.......

maa,mother,mom,mummy and many more names tht we call but against all this call the reaction of a mother is same........

doston maa kisi bhi haal main ho woh apne bachoon ki pukqr jarur sunti hai isliye aaj main kuch apni maa ke liye likhna chata hoon and if u also proud to ur mother plz plz plzzzz write some lines here for her i.e. ur mother okkkkkkk


so get ready to show the world the love of u for ur mother........... 




1)
mujhe khuda ne hai bheja tujhe sunaane kahaani
na pariyaan hain isme, na raja na rani
nahi shabdo ka khel ye meri zubaani
badi seedhi aur sachchi ek maa ki kahaani

ek maa ne de di bina maange qurbaani
hain yaadein toe taazaa par baatein puraani
thi maa ke bina saari khushiyaa be-maani
ab rehta hai bete ki aankhon mein paani

ek baadal ab falak par us maa ki nishaani
woh maa ki hi aankhon ka barasta hai paani
chaahaa dena khuda ne maa ko amrat ka paani
par maa khudgarz kahaan, mamta hoti qurbaani

khuda kehta raha, par maa ne khuda ki na maani
bas maangi phir aaj bete ki lambi zindgaani
mujhe khuda ne hai bheja tujhe sunaane kahaani
na pariyaan hain isme, na raja na rani… 

2)
kabhie daanti mujhe, kabhie gussaa woh hoti
kabhie rehti woh chupchaap aur chupchaap hi roti
mujhe kehti woh chandaa, kabhie sooraj ki jyoti
maa ki baato se pyaari baatein nahi hoti…

mujhe sunaati woh lori, na ek pal khud soti
mujhe lagti jo chot, woh aankhein dooboti
mujhme dekhti ek tara, kabhie sagar ka moti
maa ki aankhon se masoom aankhein nahi hoti… 

3)
Umer Bhar Seene Se Laga Kar Pala Hai Maa Ne
Ghalat Batoon Pe Thora Thora Mara Hai Maa Ne
Abhi Tak Wo Bachpan Ki Yaadein Hain Baqi
Aur Woh Bachpan Ki Batein Hain Baqi
Ke Jab Mein Ne Bola Tha Maa Pehli Baar
Maa Ki Aankhon Mein Bhara Tha Kitna Pyar
Paida Huwa Tha To Kuch Nahi Tha Mein
Maa Ki Waajhe Se Aaj Hoon Kya Kya Mein
Lalach To Kuch Nahi Meri Maa Ko Magar
Acha Ho Jo Dedo Dil Tohfa Mein Agar
Maa Ko Choorte Hain Aise Kuch Log Hotay Hain
Phir Auroon Ke Liyay Wo Hamesha Soog Hotay Hain
Kuch Logon Ke Liye Maa Ko Choorte Nahi
Chahay Kuch Ho Jaye Moo Moorte Nahi
Maa Se Hamesha Hamein Sukh Milte Hain
Phir Bhi Us Ko Hamse Dukh Milte Hain
Kash Qurbaan Karo Mein Sab Us Ki Sada Peh
Aur Wo Mujhe Pyar Kare Meri Issi Ada Peh
Maa Se Mujhe Koi Juda Na Karey...............