C-DAC "THE SUPER COMPUTING PEOPLE"

Centre for Development of Advanced Computing ( C-DAC ) ,established in March 1988, is primarily an R&D institution involved in the design, development and deployment of electronics and advanced Information Technology products and solutions. Constituting the largest R&D Lab in the Department of Information Technology ( DIT ), Ministry of Communications and Information Technology ( MCIT ), Government of India. It was originally setup to bring out High Performance Computing and Communications (HPCC) solutions to the scientific community through the parallel processing route.

Apart from HPC, C-DAC is into core R&D areas like Grid Computing, Real Time Systems and Embedded Electronics, Broadband and Wireless Networking, Multimedia Computing, Advanced Computing Training School (ACTS) and Software Technologies.

Two Line Shayri



    Yaaadain Teri bhi Tere Jaisi hain
     In ko ata hai bas Rullaa dena 
    
     
    jab hamay un se muhabbat thi,tab unhe hamari muhabbat pe shaq tha                                     jab unhe hamari muhabbat ka ehsas hua,tab hum pe kisi aur ka haq tha 


    kasoor kya wo pather dil ho gaya
    galti meri thi jo unko khuda kahta tha 

    
    har gham har pal zindghi mein jo muskaraya karte hai
    manzil bhi un ko milti hai jo raste aap banaya karte hai 


   Hum Ba-wafa They Is Liye Dil Sey Utar Gaye
   Shayad Tumhain Talash Kisi Bewafa Ki Thi 

   
   dil me hota hai ujaala aapke deedaar se
   aapko mere siva dekhe na koi pyaar se.  

   
   Sahil Ki ret Par ek naam yun likha,
   Hawa se Umar bhar meri dushmani rahi... 


  Yeh or baat ke gul ki tarha mehekte rahe
  waarna rakhte they hum bhi mizaaj kaanton ka  


  Is ek aas par mudkar kabhi nahi dekha
  Ke jis ne chod diya hai wohi pukarega...


  
 iss daur me wafa ki umeed jisse ki maine
aakar ussi ke haath ka patthar laga mujhko.



hamne bhi sokar dekha hai naye puraane shahron mein
jaisa bhi hai apne ghar ka bistar achha lagta hai



 Ab Ye Sehra Hi Tere Muqaddar Main Hai
Tu Ne Maangi Hi Kyon Thi Dua Rait Per 



main tera kuchh bhi nahin hoon magar itna to bata
dekhkar mujhko tere zehan mein aata kya hai  



ek dil ka dard tha jo raha zindagi ke saath
ek dil ka chain tha ki sada dhoondhte rahe 


ye samajhkar tujhe ai maut yaad rakha hai
kaam aata hai bure waqt mein aana tera  



apna dard-e-dil samajhne ki yahan fursat kise
hum to auron ka tadapna dekh kar tadpaa kiye  



nazar mila na sake us se us nigaah ke baad
vahi hai haal hamaara jo ho gunaah ke baad