pyar hota hai kya yeh dikhaunga ek din
teri sang dili ko sehtay sehtay
main jaan say apni guzar jaunga ek din
apni sari chahtain tujh pe war kay
pyar karna tujhe bhi sikhaunga ek din
jee na payegi tu bhi ho kay juda mujh say
aisa pyar tujh say kar jaonga ek din
andheron main hi dhoondti reh jaygi mujh ko
aisi berukhi dikhlaunga ek din
kho ke mujh ko pachtao gay bahut sanam tum
wafa aisi tum say kar jaunga ek din
aisi deewangi say chahunga tuje
bhool jao gay tum bhi sara jahan ek din
jaan teri bhi labon pe aa jaygi
ban kay khak jab mitti main mil junga ek din
No comments:
Post a Comment